Sahar ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thi lyrics in english
Sahar Ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thi; hawayen khair maqdam ke tarane gungunati thi.
Abhi Jibreel Utre bhi na the kaabe ke mimbar se; ki itne me sada ayi ye Abdullah ke ghar se.
Mubarak ho shahe har do sara tashreef le aye; mubarak ho Muhammad Mustafa tashreef le aye.
Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi.
Muhammadun Sayyidil Kaunaini Was Saqalaini; Wal Faree Qaini Min Urbiw Wamin Ajami.
Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi.
Na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha; koi yun mujhse pooche Mustafa ka husn kaisa tha.
Zameeno aasman men koi bhi misaal na mili.
Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi.
Durood un par salaam un par tahi kahna Khuda ka hai; Khuda ke baad jo hai martaba Salle Ala ka hai.
Wohi Sardare Aalam hain wohi gamkhare Ummat hain; wohi to hashr ke maidaan mein sab ki shafaat hai.
Shafaat ke liye sab ki nazar un par lagi hogi; Maula ya salli wasallim daiman abadan ala habibi ka khairil khalqi kullihimi.
Salaam us par ki jisne bekason ki dastageeri ki; salaam us par ki jisne baadshahi me faqeeri ki
Salaam us par ki jis ke ghar me chaandi thi na sona tha; Salaam us par ki toota boriya jiska bichauna tha
Salaam aye Aamina ke laal aye mahboobe subhani; Salaam aye fakhre maujoodat fakhre naue insani.
Teri soorat teri seerat tera naqsha tera jalwa; Tabassum guftagoo banda nawazi khanda peshani.
Tera dar ho mera sar Ho Tera Dil Ho Mera Ghar Ho
Tamanna mukhtasar si hai magar tamheed toolani; Maula ya salli wasallim daiman abadan ala habibi ka khairil khalqi kullihimi.
Muhammadun Sayyidil Kaunaini Was Saqalainni; wal Fareeqaini Min Urbiw Wamin Ajami
Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi.
एक टिप्पणी भेजें