24 C
hi

Sahar ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thi lyrics in english

Sahar Ka waqt tha masoom kaliyan muskurati thi; hawayen khair maqdam ke tarane gungunati thi

Abhi Jibreel Utre bhi na the kaabe ke mimbar se; ki itne me sada ayi ye Abdullah ke ghar se. 

Mubarak ho shahe har do sara tashreef le aye; mubarak ho Muhammad Mustafa tashreef le aye. 

Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi. 

Muhammadun Sayyidil Kaunaini Was Saqalaini; Wal Faree Qaini Min Urbiw Wamin Ajami. 

Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi. 

Na koi aap jaisa hai na koi aap jaisa tha; koi yun mujhse pooche Mustafa ka husn kaisa tha. 

Zameeno aasman men koi bhi misaal na mili. 

Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi. 

Durood un par salaam un par tahi kahna Khuda ka hai; Khuda ke baad jo hai martaba Salle Ala ka hai. 

Wohi Sardare Aalam hain wohi gamkhare Ummat hain; wohi to hashr ke maidaan mein sab ki shafaat hai. 

Shafaat ke liye sab ki nazar un par lagi hogi; Maula ya salli wasallim daiman abadan ala habibi ka khairil khalqi kullihimi. 

Salaam us par ki jisne bekason ki dastageeri ki; salaam us par ki jisne baadshahi me faqeeri ki 

Salaam us par ki jis ke ghar me chaandi thi na sona tha; Salaam us par ki toota boriya jiska bichauna tha

Salaam aye Aamina ke laal aye mahboobe subhani; Salaam aye fakhre maujoodat fakhre naue insani. 

Teri soorat teri seerat tera naqsha tera jalwa; Tabassum guftagoo banda nawazi khanda peshani. 

Tera dar ho mera sar Ho Tera Dil Ho Mera Ghar Ho

Tamanna mukhtasar si hai magar tamheed toolani; Maula ya salli wasallim daiman abadan ala habibi ka khairil khalqi kullihimi. 

Muhammadun Sayyidil Kaunaini Was Saqalainni; wal Fareeqaini Min Urbiw Wamin Ajami

Maula ya salli wasallim daiman abadan; ala habibi ka khairil khalqi kullihimi. 

Naatline

पुराने पोस्ट
नई पोस्ट नई पोस्ट

एक टिप्पणी भेजें

Tes Iklan
Tes Iklan

Ads Single Post 4