24 C
hi

Bhar do jholi meri yah muhammad naat lyrics in english

Bhar do jholi meri yah muhammad naat lyrics in english

Bhar do jholi meri yah muhammad naat lyrics  जानकारी (Information)

  • Naat name:-  Bhar do jholi meri yah muhammad

  • Naat reciter:-owais raza qadri

  • Total views:- 2,839,142

  • YouTube channel:- Danish & Dawar

  • Likes:- 89k

Bhar do jholi meri yah muhammad

दोस्तों आज हम आपके लिए एक बेहद ही प्यारी और पाक naat लेके आए है जिसका का नाम है  Bhar do jholi meri yah muhammad

दोस्तों हम आपको यह भी बता दे की यह नात हर किसी को अच्छी लगती है बच्चे हो बड़े सभी को इस नात को पढ़ना - सुनना काफी पसंद है। 

दोस्तों इस नात Bhar do jholi meri yah muhammad को youtube जैसे social media पेभी काफी अच्छा response मिला है। 

तो दोस्तों इसलिए आज हम यह पोस्ट   Bhar do jholi meri yah muhammad naat lyrics in english आपके लिए लेके आये है। 

तो चलिए शुरू करते है Bhar do jholi meri yah muhammad naat lyrics in english

Bhar do jholi meri yah muhammad naat lyrics in english

TUMHAARE AASTANE SE ZAMAANA KYA NAHI PAATA KOI BHI DAR SE KHAALI MAANGNE WAALA NAHI JAATA.

BHAR DO JHOLI MERI YA MUHAMMAD LAUTKAR MAI NA JAAUNGA KHAALI.

TUM ZAMAANE KE MUKHTAAR HO YA NABI BEKASO KE MADADGAAR HO YA NABI.

SAB KI SUNTE HO APNE HO YA GHAIR HO TUM GHAREEBO KE GHAM KHWAAR HO YA NABI.

HUM HAI RANJ O MUSIBAT KE MAARE HUWE SAQT MUSHKIL ME HAI GUM SE HAARE HUWE.

YA NABI KUCH KHUDAARA HAME BHEEK DO DAR PE AAYE HAI JHOLI PASARE HUWE.

HAI MUKHAALIF ZAMAANA KIDHAR JAAYE HUM HAALAT E BEKASI KISKO DIKHLAAYE HUM.

HUM TUMHARE BHIKAARI HAI YA MUSTAFA KISKE AAGE BHALAA HAATH FAILAYE HUM.

BHAR DO JHOLI MERI YA MUHAMMAD LAUTKAR MAI NA JAAUNGA KHAALI.

HAQ SE PAAYI WOH SHAAN E KAREEMI MARHABA DONO AALAM KE WAALI.

USKI QISMAT KA CHAMKA SITAARA JIS PE NAZR E KARAM TUM NE DAALI.

ZINDAGI BAKSH DI BANDAGI KO AABROO DEEN E HAQ KI BACHAALI.

WOH MUHAMMAD KA PYAARA NAWASA JISNE SAJDE ME GARDAN KATAALI.

JO IBNE MURTAZA NE KIYA KAAM KHOOB HAI QURBAANI E HUSSAIN KA ANJAAM KHOOB HAI.

KHURBAAN HO KE FATIMA ZEHRA KE CHAIN NE DEEN E KHUDA KI SHAAN BADHAAYI HUSSAIN NE.

BAKHSHI HAI JISNE MAZHAB E ISLAM KO HAYAAT KITNI AZEEM HAZRAT E SHABBIR KI HAI ZAAT.

MAIDAN E KARBALA ME SHAH E KHUSH KHISAAL NE SAJDE MEI SAR KATA KE MOHAMMAD KE LAAL NE.

ZINDAGI BAKHSH DI BANDAGI KO AABROO DEEN E HAQ KI BACHALI.

WOH MUHAMMAD KA PYAARA NAWAASA JISNE SAJDE ME GARDAN KATAALI.

HASHR ME UNKO DEKHENGE JIS DAM UMMATI YEH KAHENGE KHUSHI SE.

AA RAHE HAI WOH DEKHO MOHAMMAD JINKE KAANDHE PE KAMLI HAI KAALI.

MEHSHAR KE ROZ PESH E KHUDA HONGE JIS GHADI HOGI GUNAHGAARO ME KIS DARJAA BEKALI.

AATE HUWE NABI KO JO DEKHENGE UMMATI EK DUSRE SE SAB YEH KAHENGE KHUSHI KHUSHI.

AA RAHE HAI WOH DEKHO MOHAMMAD JINKE KAANDHE PE KAMLI HAI KAALI.

SAR E MEHSHAR GUNAHGARO SE PURSHISH JIS GHADI HOGI YAQINAN HAR BASHAR KO APNI BAKSHISH KI PADI HOGI.

SABHI KO AAS US DIN KAMLI WAALE SE LAGI HOGI KE AISE ME MOHAMMAD KI SAWAARI AA RAHI HOGI.

PUKAREGA ZAMAANA US GHADI DUKH DARD KE MAARON NA GHABRAAO GUNAHGARO NA GHABRAAO GUNAHGARO.

AA RAHE HAI WOH DEKHO MOHAMMAD JINKE KAANDHE PE KAMLI HAI KAALI.

AASHIQ E MUSTAFA KI AZAAN ME ALLAH ALLAH KITNA ASAR THA.

SACHAA YEH WAAQIYA HAI AZAAN E BILAAL KA EK DIN RASOOL E PAAK SE LOGO NE YUH KAHA.

YA MUSTAFA AZAAN GHALAT DETE HAI BILAAL KAHIYE HUZOOR AAPKA IS ME HAI KYA KHAYAAL.

FARMAAYA MUSTAFA NE YEH SACH HAI TOH DEKHIYE WAQT E SAHAR KI AAJ AZAAN AUR KOI DE.

HAZRAT BILAAL NE JOH AZAAN E SAHAR NA DI KUDRAT KHUDA KI DEKHO NA MUTLAQ SAHAR HUWI.

AAYE NABI KE PAAS KUCH AS’HAAB E BAASABAA KIYA ARZ MUSTAFA SE AYE SHAH E AMBIYA.

HAI KYA SABAB SAHAR NA HUWI AAJ MUSTAFA JIBREEL LAAYE AISE ME PAIGHAAM E KIBRIYA.

PEHLE TOH MUSTAFA KO ADAB SE KIYA SALAAM BAAD AS SALAAM UNKO KHUDA KA DIYA PAYAAM.

YUH JIBRAEEL NE KAHA KHAIR UL ANAAM SE ALLAH KO HAI PYAAR TUMHAARE GHULAAM SE.

FARMA RAHA HAI AAP SE YEH RAB E ZULJALAAL HOGI NA SUBHA DENGE NA JAB TAK AZAAN BILAAL.

AASHIQ E MUSTAFA KI AZAAN ME ALLAH ALLAH KITNA ASAR THA.

ARSH WAALE BHI SUNTE THE JISKO KYA AZAAN THI AZAAN E BILAALI.

KAASH PURNAM DAYAARE NABI ME JEETE JI HO BULAWA KISI DIN.

HAAL E GUM MUSTAFA KO SUNAU

THAAM KAR UNKE RAUZE KI JAALI.



किसी भी तरह के नात कव्वाली या नजम की lyrics जानना चाहते हैं तो आप हमें उस नात, कव्वाली या नजम का नाम कमेंट में जरूर बताएं. और हमें यह भी बताए की आपको यह naat कैसा लगा .

पुराने पोस्ट
नई पोस्ट

एक टिप्पणी भेजें

Tes Iklan
Tes Iklan

Ads Single Post 4