Noor-e-ramzan naat lyrics in english
Noor-e-ramzan naat lyrics in english
Noor-e-ramzan naat lyrics जानकारी (information)
- Naat name:-Noor-e-ramzan
- Naat reciter:-farhan ali waris
- Total views:- 15,749,178
- YouTube channel:-Dramas World
- Likes:-212k
Noor-e-ramzan
- दोस्तों आज हम आपके लिए एक बेहद ही प्यारी और पाक naat लेके आए है जिसका का नाम है Noor-e-ramzan .
- दोस्तों हम आपको यह भी बता दे की यह नात हर किसी को अच्छी लगती है बच्चे हो बड़े सभी को इस नात को पढ़ना - सुनना काफी पसंद है और नबी के मिलाद में भी इसे काफी पढ़ा जाता है.
- दोस्तों इस नात Noor-e-ramzan को youtube जैसे social media पेभी काफी अच्छा response मिला है.
- तो दोस्तों इसलिए आज हम यह पोस्ट Noor-e-ramzan naat lyrics in english आपके लिए लेके आये है.
Noor-e-ramzan naat lyrics in english
"TAQSEEM KARNE NAIMATEIN
RAMZAN AA GAYA”.
ALLAH TERA HAI EHSAAN
ROOZE NAMAZ AUR QURAN.
HAI YEH SAB ROOH-E-EMAAN
NOOR E RAMZAN.
NOOR E RAMZAAAN
NOOR E RAMZAAAN
NOOR E RAMZAAAAAN
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAAAN.
“ILLM MASHROOT HAI AMAL SE
PAR YEH HASIL HOTA HAI JAB
KOSHISH KI JAYE DIL SE”.
ILM O ADAB SIKHAYENGE
DEEN E KHUDA PHAILAYENGE.
MASJID MEIN BHI JAYEIN GE
HAMD-O-NAAT SUNAYE GE.
ALLAH TERA HAI EHSAAN
TUNE BADHADI SAB KI SHAAN.
AAYA HAI BAN KE MEHMAAN
NOOR E RAMZAN.
NOOR E RAMZAAAN
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN.
“DEEN E ISLAAM MUHABBAT KA PAYAM
ALLAH KA INAAM KHALIQ KA HAI PAIGAM”.
KAISI HAWA E ISHQ CHALI
KHATAM HUI NAFRAT DIL KI.
BAANT RAHE HAIN PYAAR SABHI
SEHRI HO YA IFTAR.
ALLAH TERA HAI EHSAAN
EK HUWE SAARE INSAAN.
SAAJ GAYA GHAR GHAAR DASTAAR KHUWAAN
NOOR E RAMZAN.
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAAAN
NOOR E RAMZAN.
MERI KHATIR KHUDA
TUNE KIYA KYA KIYA.
TUNE KHUSHIYON SE DAAMAN
MERA BHAR DIYA.
AUR BADLE MEIN MAINE
TUJHE KIYA DIYA.
IN GUNAHON PE DIL
RO RAHA HAI MERA.
MAINE MAAN BAAP KA
HAQ ADA NA KIYA.
TERE BANDON KA DIL BHI
DUKHAYA BADHA.
NA HI KHAIRAT KI
NA HI SADQA DIYA.
SIRF APNE HI BAARE MEIN
SOCHA KIYA.
NA NAMAAZEIN PARHEEN
NA HI ROZA RAKHA.
AUR IBADAT KA HAQ
ADAA NA HUWA.
PHIR BHI TUNE KARAAM
APNA JAARI RAKHA.
TU SAKHHI HAI BADA
TU SAKHHI HAI BADA.
MAIN PASH-E-MAAN HUN
REHEM KAR DE KHUDA.
REHEM KAR DE KHUDA
REHEM KAR DE KHUDA.
HAI YEH BAKHSHISH KA SAMAAN
SAJDE MEIN HAI HAR INSAAN.
KIYA SAJJAAD AUUR KIYA FARHAAN
NOOR E RAMZAN.
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN.
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN.
NOOR E RAMZAN
NOOR E RAMZAN.
READ MORE:-
किसी भी तरह के नात कव्वाली या नजम की lyrics जानना चाहते हैं तो आप हमें उस नात, कव्वाली या नजम का नाम कमेंट में जरूर बताएं. और हमें यह भी बताए की आपको यह naat कैसा लगा .
एक टिप्पणी भेजें