24 C
hi

Zindagi ek kiraye ka ghar hai naat lyrics in english

Zindagi ek kiraye ka ghar hai naat lyrics in english

Zindagi ek kiraye ka ghar hai naat lyrics जानकारी (information) 

  • Naat name:-Zindagi ek kiraye ka ghar hai 
  • Naat reciter:-Rais Anis Sabri 
  • Total views:- 2,670,582 
  • YouTube channel:-Evergreen Qawwali
  • Likes:-26k

Zindagi ek kiraye ka ghar hai 

  • दोस्तों आज हम आपके लिए एक बेहद ही प्यारी और पाक naat लेके आए है जिसका का नाम है Zindagi ek kiraye ka ghar hai
  • दोस्तों हम आपको यह भी बता दे की यह नात हर किसी को अच्छी लगती है बच्चे हो बड़े सभी को इस नात को पढ़ना - सुनना काफी पसंद है और नबी के मिलाद में भी इसे काफी पढ़ा जाता है. 
  • दोस्तों इस नात Zindagi ek kiraye ka ghar hai को youtube जैसे social media पेभी काफी अच्छा response मिला है.
  • तो दोस्तों इसलिए आज हम यह पोस्ट Zindagi ek kiraye ka ghar hai naat lyrics in  english आपके लिए लेके आये है. 

तो चलिए शुरू करते है Zindagi ek kiraye ka ghar hai naat lyrics in english.


Zindagi ek kiraye ka ghar hai naat lyrics in english

Zindagi ek kiraye ka ghar hai Ek na ek din badalna padega
Maut Jab Tujko aavaz degi Ghar se baahar nikalna padega.

Ruth jayengi jab Tujse khushiyan Gham ke dhanche pe dhalna padega
Wakt aesa bhi aaega nadaan Tujko kanton pe chalna padega.

Itna maazur ho jaega Tu Itna majboor ho jaega Tu
Ye jo makhmal ka chola hai Tera Ye kafan me badalna padega.

Kar le Imaan se dil ki safai Chhod de chhod de Tu burai 
Wakt baki hai ab bhi sambhal ja Warna dozakh mein jalna padega.

Aesi ho jaegi Teri haalat Kaam aaegi dolat na takat
Chhod kar Apni unchi haweli Tujko bahar nikalna padega.

Jalwa e husn bhi ja baja hai Aur khatra to bhi hai ziyada
Zindagani ka ye raasta hai Har kadam par sambhal na padega.

Baap bete ye bhai bhatije Tere sathi hai ye jite jite
Apne angan se uthna padega Apni chokhat se talna padega.

Hai bahot hi buri chiz duniya Kyu samajta hai duniya ko apna
Baaz aa ja gunahon se warna Umar bhar Hath malna padega.

Pyar se sabko apna banale Jis kadar Ho sake tu dua le
Mat laga aag nafrat ki nadaa Warna Tujko bhi jalna padega.

Baal se bhi barik hai rasta Aur Talvar se bhi tez tar hai
Uspe gathdi gunahon ki lekar Hashr mein Tujko chalna padega.

Gham ke maron ki halat pe nadaan Has raha hai magar yaad rakhle
Ashk ban ban ke ankhon se Apni Ek Din Tujko dhalna padega.

Kabr mein jis gadi jaaega Tu Nekiyan kaam aaengi Tere
Baaz aaja gunahon se warna Hashr tak hath malna padega.

Chahta hai agar surkh rooi Chahta hai agar nek naami
Ye adaa chhodni hogi Tujko Is chalan ko badalna padega.

Hai agar Tujko insan ban na To yakasar Meri baat sun le
Chhodni hogi har ek burai Khwaahishon ko kuchalna padega.

Zindagi ek kiraye ka ghar hai Ek na ek din badalna padega
Maut jab Tujko avaz degi Ghar se bahar nikalna padega.

READ MORE:- 

  • Tu kuja man kuja naat lyrics
  • Barwein ka chand aaya naat lyrics
  • lab pe aati hai dua banke tamanna meri naat lyrics
  • tajedar e haram naat lyrics 
  • Tu hai rab ki raza tu hai sabse juda naat lyrics
  • deewar o dar k bose lunga machal machal kar naat lyrics
  • pardah naat lyrics
  • hasbi rabbi jallah naat lyrics
  • maula ya salli wasallim naat lyrics
  • mera dil badal de naat lyrics
  • Gali gali saj gayi naat lyrics
  • hara gumbad jo dekho ge naat lyrics
  • Shahe madina naat lyrics
  • Tamanna muddaton se hai naat lyrics
  • Mai tu ummati hoon naat lyrics
  • Ya nabi naat lyrics 
  • Naam-e-ahmed ye wo naam hai naat lyrics
  • Nabi nabi nabi naat lyrics
  • Allah hoo allah hoo 
  • kis se mange naat lyrics in english
  • Bhar do jholi meri yah muhammad naat lyrics
  • Noor e khuda naat lyrics
  • Mere nabi pyaare nabi naat lyrics 
  • Tala al badru alayna naat lyrics
  • Marhaba ya mustafa naat lyrics
  • Apne maa baap ka tu dil na dukha dil na dukha naat lyrics
  • Dagh e furqate taiba qalb muzmahil jata

  • किसी भी तरह के नात कव्वाली या नजम की lyrics जानना चाहते हैं तो आप हमें उस नात, कव्वाली या नजम का नाम कमेंट में जरूर बताएं. और हमें यह भी बताए की आपको यह naat कैसा लगा .

    पुराने पोस्ट
    नई पोस्ट

    एक टिप्पणी भेजें

    Tes Iklan
    Tes Iklan

    Ads Single Post 4